Monday 2 June 2014

SHITEEZ KE US PAAR...........

Jaha dur dur tak ghatiyo mai ---na koi halchal thi,na kisi jeewan ke hone ki asha...kudrat ke es faisale par samajah nahi aa raha tha ki jaha kal tak hasti khelti wadiyo mai ----jeewan mahak raha tha,jharno mai jal ka dhimaa parwah apni gungunati aahat ka sandesha de raha tha...hum aksar bhul jate hai  ki anat ak nishchat parkriya hai..jeewan ka who satya-----jaha par pahuchana ----jaha tak samajahna-----har kisi ke liye sambhav nahi hai....jeewan ka moh tor kar-----us se juri tamam zindgiyo ko chor kar ----aage barna---bus barte hi jana---ak lakshay ko pane ke liye---lagan sheel hona----sakalap sheel hona----ak insaan ki pahchaan hai.....aise insaan ki pahchaan----jise us ke apne bhi es liye chor dete hai ki ab who doulat heen hai,un ke hisab se who ab buddi heen hai----aur sub se bara who ab umar heen hai-----matlab yeh ki who yani us ki umar ko jhelna un sub ke liye ak trasadi hai---- 
                                    Ha --har subah hum sub ke liye hamesha se ak sandesh le kar aati hai ki udho-------
jeewan ki chunotiyo ko savikaar karo----un se dar kar jeena nahi choro----un se dar kar bhago bhi nahi-----bus behad khamoshi se en ko apnao...jo shakti,jo takat moun mai hoti hai-----who jayda bolne mai nahi----kisi se uljahne mai bhi nahi----hamare antarman ki takat who takat hoti hai--jo hamare shant rahne par----hume sari pareshaniyo se nikalne ki---un se bahar aane ka raasta dikhti hai....kahte hai sache pyar mai bahut takat hoti hai-sirf sache pyar mai.who pyar jaha na lalach hota hai paiso ka ---na jameen jaydaad ka---par kya pyar aur chahat waha kaam aati hai,jaha hume neeche dhakalne wale insaan mojud hai----jaha hume kadam kadam parbeizzat karne wale shaksh mojud hai---yaha par sirf koshish ki ja sakti hai...par sirf utni jaha par hume lage ki who es chahat,es pyar ke layak hai bhi ya nahi -- 
                                      Phir ak mukaam aisa aa jata hai ki enhe bilkul chor dena hota hai--ak dum sire se nakar dena hota hai--Bhagwan ko diye har vachan ko nibhana--hamare andar ke insaan ki parakh hoti hai.ak aisi parkh,jo hume acche bure ki pahchaan dikhati hai..jeewan sirf khana peena sona hi nahi-----jeewan ka taatparya sub ke liye alag alag haikisi ki galat soch ko badalna--us ko jeewan ka mulay samjahna--khud apne liye kisi bevkufi se kam nahi hai. aaj adhikaansh logo ke jeewan ka mulay paisa hai,,jeewan kiwho  who tamam sukh suvidhai hai,,jin se who apne apne rishto ka mulay aaktey hai..Geeta aur Ramayan ke who tamam path-tamam shalok ab simit jagah,simit aasthao par aa chuke hai..bus en logo se taal mail tabhi baraya ja sakta hai,jab hum un ki haa mai haa,naa mai naa,aur un ke isharo par udh baith sake..
                                        Bachpan ki masum dahleej par-bau jee ki who parathanai-satsang mai ja kar veer jee ke who saaf suthre parvachan-jaise man ki diwaro par chipak kar rah gaye hai...veer jee ka kahna aaj tak yaad hai aur khas kar en halato mai,man ke andar shor dalta hai..ki agar tum sahi ho-sache ho,to ak dum moun rahna.khamoshi se jee lena-munasib ho jaye ga..insaan ki sahan shakti ka faisla,inhi halato mai hota hai-jab whoi log jinhe hum apna hone ka dawa karte hai-who hi hume dukh dard dete hai,aur khud ko sahi hone ka dum bharte hai....geeta ka sach--ramayan ke bol------jeewan ka sach sub kuch bhula kar,khud ko ishwar ke samarpan mai hai---dher ya saber----sub ko wahi jana hai.jaha sub ke karmo ka khata khola jata hai--jaha sub ke paap punay ki file kholi jati hai
                                         Paisa aur rutba--chalaki aur dagabaziya---sirf insaano ki farebi duniya mai hoti hai...jo jeewan jiya-jitna jiya--jo man aur aatma se en ke liye kar diya---who sub bhul kar aage bar chuke hai...jeewan ka shaswat satya hai yeh----jis jagah aaj hum hai-kal yaha koi aur tha--aur ab jo jagah hum chor de ge,who phir kisi aur ki ho jaye ge...bus fark sirf soch ka hai...
                                             Maan sammaan dusro ne diye,es samaj ne diye----par apno ne nahi diye,to kya hua ????? hum shayad un ki soch mai shamil nahi the--hum un ki soch mai ab shamil hona bhi nahi chate.kuch aise hai,jo kahne ko apne to nahi hai,par unho ne hamare ashisho ko,hamari duao ko apni zindgi bana liya hai...bus kahi dur ---bahut dur koi hume bula raha hai---bahut pyar se------shiteez ke us paar.....

दे कर रंग इन लबो को तेरे प्यार का.... .....

 दे कर रंग इन लबो को तेरे प्यार का,हम ने अपने लबो को सिल लिया...कुछ कहते नहीं अब इस ज़माने  से कि इन से कहने को अब बाकी रह क्या गया...नज़रे चु...