Sunday 8 June 2014

LAHAR...

Ak bahut bara sach hai ki sehat aur zindgi ka aapas mai bahut gahra sambandh hai.par aksar log es satya ko jaan kar bhi nahi jaan pate..par mayak ke liye yeh satya to us ke samne tha.janam se who viklang tha.dono pairo mai itni takat nahi thi ki who chal paye.us ka ak aur bhai tha,ak bahan,dono us se bare the..aur puri tarah sawasth the.mata pita aur bhai bahan ne behad pyar diya-seva ki.pita ka kahna tha,us ko kamjor mat hone do,es liye unho ne mayak se na sahanubhuti dikhai,na hi alag se pyar ka sailaab lutaya...mayak bahut acchi tarah janta tha ki pita ka maksad us ko uchai tak puchna hai.maa ke pyar ne hamesha us ka hosla baraya.pita har roj us ko ak cycle riksah se khud chorne jae.phir dopehar ko lene bhi jate.ghar mai sub se yahi kaha ki yeh dayitaw sirf whoi nibhaye ge..mayak par bhagwan ki itni kirpa thi ki who parai mai behad hoshiyaar tha-sawbhav mai itni namrata-sub se apnepan se bolna..ersha to dur dur tak us ke paas nahi thi..who har namumkin chese ko -apni mehnat aur apne ghar walo ki khas kar pita ki mehnat aur pyar ko --mumkin raasto mai badal dena chata tha.jeewan ka ak hi maksad le kar chalta ki who mata pita ka naam roshan kare ga.un sub ke pyar aur wishwaas ko duniya ki nazro mai itna roshan kar de ki yahi duniya us ke aage sar jhuka de ge..
                     Mayak ki didi ka janamdin tha.par sath sath ak khushi ka din aur bhi tha ki didi bahut acche anak le kar college mai utrin hui thi..zindgi  ki es khushi mai -mayak apni aur se didi ko kuch gift dena chata tha.par who to abhi parai kar raha tha aur us ki pocket money bhi itni nahi thi..ki who apni didi ke liye kuch khried sake.par dena to hai.....who bhi aisa ki subb hairaan ho jaye.kahte hai ki koshish aur himmat karne walo ki kabhi haar nahi hoti.us ne jo socha who kisi ashcharya se kam nahi tha.who unhi bejaan pairo se apni didi ke liye kuch karna chata tha.bus phir kya tha-----us ke paas sirf 9 din the.who raat ko akant mai baith kar apne pairo ko dahl bana kar -board par aari tirche linea khichta.do ghante ki apaar mehna ke baadwho apne bejaan pairo   se -jin mai sirf halki jaan thi,ak pyari se painting bannane mai safal ho gaya.jab who painting puri hui to khud mayak ki khushi ka koi thikana na raha..char din bache the--us ne ak aur koshish ki aur didi ke khayal ko man mai rakhte hue us ne ak khubsurat se painting banai aur sath mai neeche apna naam bhi likha.ab to mauak ko who char din bhi bahut jayda lagne lage.
                          Phir who din bhi aa gaya.ghar mai sub ne mayak ko us ki parai ke liye shabhashi de.par mayak ka dil to ander hi andar khushi se dhark raha ttha--jab didi ke liye birthday cake katne laga to mayak apni wheel chair par jaise bhagte hui apne kamre mai gaya aur sundar se paper mai lipti who painting-sub ke sam,ne behad pyar aur samman se apni didi ko bhet ki.didi aur sub log hairaan the ki mayak ne kya diya hoga ? mata pita bhai bahan ki utsukta dekhte hi banti thi.didi ne behad pyar se use khola.jab mayak ne un ko bataya ki who painting us ne apne inhi bezaan pairo se banai hai ---''par kaise ?'' subhi ak sawar mai bole.''aise'' kah kar mayak ne paas pare hui apne board  par apne pairo mai colour brush le kar sub ko yeh dikhaya ki us ne kaise yeh sub kiya,mata pita ke charan chu kar mayak ne un ka aashish to le liya-par sath mai mata pita ki ankho se bahte hui khushi ke ansu-us ko tohfe ke roop mai mile.aaj zindgi ka who sach samne ha ki mehna aur koshish ki jaye o sub aasan ho jaa hai.mayak ka bhvishaya un subhi se jayda ujjawal tha-jo sadharan insano ko bhi naseeb nahi hota.
                         Aaj mayak ki paintings desh videsh mai bikti hai--jis bacche ko log,rishteydaar bojh maan kar sire se nakar rahe the-whoi aaj man se us ki khushi mai shamil the.jaha tum agar haar maan lo,to yeh duniya tumhe neeche dhakel kar dubara dekhe ge bhi nahi.-------meri yeh kahani aap subhi ko yeh sandesh deti hai ki kabhi bhi apne us bacche ki bekadri mat karo,jo janam se viklang hai.majbur hai----aap pyar se,man se sath de ge,to yeh viklang bacche bhi ---aap ka naam roshan kar sakte hai.---teak mayak ki tarah-------------

दे कर रंग इन लबो को तेरे प्यार का.... .....

 दे कर रंग इन लबो को तेरे प्यार का,हम ने अपने लबो को सिल लिया...कुछ कहते नहीं अब इस ज़माने  से कि इन से कहने को अब बाकी रह क्या गया...नज़रे चु...