Tuesday 27 May 2014

JEEWAN DHARA ..

Sham ke dhundlake mai reena baramade mai baithe the..apne attet ki yaddo mai lipti--us ka beeta hua kal us ke aaj par bhari na ho jaye,who satarak rahti thi..par barso ki who yaadey,who dukh sukh ke hazaro pal---
satish aaj us ka pati hai,,us ka wartmaan..aur nikhil us ka bhutkaal..par nikhil ke pyar aur sambandh ki ak
kari---neetu..ankhe bhar aaye reena ki....aur attet ke panne dar-b-dar khulte chale gaye...
         college ke pahle saal mai us ki mulakat nikhil se hui,,who mulakat achanak pyar mai badal gaye ho,aisa to nahi hua..par roj roj ki mulakate jarur use nikhil ke karib le aaye who B.A.first year ki student thi,aur nikhil second year mai tha.apne apne lecture attend karte karte ...apne apne room jate aate who dono kab pyar karne lage..reena nahi jaan paye.college ki parai ke who teen char saal uddan bharte beett  gaye.nikhil  aage ki parai ke liye videsh jana chata tha...par reena apne pyar ko--bandhan ka roop dena chati thi.nikhil apne mata pita ki akloti santaan tha--aur reena teen bahno mai sub se bari..pita busniessman.maa ak safal gharani.nikhil ke pita sahar  ke jane mane wakil the--maa doctor.reena ne nikhil se shadi ka parstaw rakha.who chati the ki nikhil videsh jane se pahle us ki maang ka sindur ban jaye.ak aam  bhartiya nari ki tarah,who bhi ak sukhi pariwar ki kalpana kar rahi thi.nikhil aur reena bhavishaya ke sapno mai dubna chate the..nikhil ne reena ko ashwasan diya ki who mata pita ko shadi ke liye mana le ga..reena ki umeede puri hui,
aur nikhil ne ak din apne mata pita ke sah reena ke ghar aa kar,us ke mata pita se us ka hath maag liya.reena hairaan thi ki who sapna---jo who soch rahi thi---ak dum sakaar ho raha tha...
           Hazaro duao aur band bajo ke beech reena apne nikhil ki dulhan bani us ke ghar aa gaye nikhil ke mata pita ne use man se savikara.who behad khush thi.zindgi ka who safar itna khubsurat laga ki reena khud ko duniya ki sub se jayda bhagyashali aura manne lagi....''Madam aap ki chai' noukrani ne reena ko sham ki chai de.to reena ki vichar shirkakhla tuti..par man to phir se aeet ke panno mai gum ho gaya.nikhil ke sath who saat mahine kaise nikal gaye,pata hi nahi chala.ak din reena ko ahsaas hua ki who maa banne wali hai.who khushi sare ghar ko mahka gaye.nikhil ko laga us ki videsh yatra ko safal bannane ka sandesha aa gaya hai.nikhil ko jab jana tha tab reena ki delivary ka waqt tha,par us ka jana jaruri tha.us ko videshi company bahu accha offar de rahi thi.who bhi sirf do saal ke karyakaal ke liye...
              Nikhil chala gaya,par jate jate reena ko hazaro hidayate de gaya..reena khush to thi  ki nikhil ko ak bahut bari videshi company ka offar aaya hai,who bhi reena ki maa banne ki khabar ke sath..par do saal..reena udas ho gaye..-------- waqt kabhi kisi ke liye nahi rukta..reena ne waqt aane par ak sunder si pyari beti ko janam diya..naam neetu....nikhil reena ki masum neetu...nikhil behad khush tha...who din mai bahut baar phone karta.apni beti ke har pal ko camere mai kaid karne ki hidayat deta...----- ateet ke bure panne reena ki ankho mai ghum gaye..... dhirey dhirey nikhil ke phone aane kam ho gaye...neetu ke liye us ka utsah dhumil hone laga..kyu ?? pahle to sub ko laga ki nikhil jayda wayasat ho gaya hoga..par jab us ki awaz ka roop badalne laga to reena ko,us ke mata pita sub ko ajeeb laga.neetu ki dekhbhal karte karte reena ki ankhe bhar aati...ak anjani aashanka ke sath. neetu ka pahla janamdin tha...reena ne phone kar ke nikhil ko yaad dilaya ki neetu hamari ak saal ki ho gaye hai.par nikhil ki awaz mai who jadu,who khanak nahi thi .KYU????
mata pita dukhi the----sambandho ki dor par ----dhage khisak rahe the.do saal do mahine baad nikhil wapis lout aaya...par ak anjaani videshi mahila ke sath.maang mai sindur,kimiti sari pahne--who aurat nikhil ki patni thi..reena jaise andhe kuai mai gir pari.kya ak rishta itni jaladi khatum ho sakta hai ??? us ka nikhil kisi aur aurat ke sath..pyar vishwaas ke rishto ke dhage chor chor ho gaye.nikhil  ke mata pita sakte mai he....apni beti neettu ko goud mai lete hui who nikhil ke haaw bhaw bhi nahi dekh paye...who ab es ghar mai nahi rah sakti.ak drir nishchai kar ke who apne mata pita ke paas lout aaye.jeewan ka karwa sach akdum samne tha.tute hui sapne the.par apni beti ka moh......apne tute hui sapno aur bhari man ke sath reena apni neetu ki parwarish mai jut gaye..aur khud ko us ki masum hasi mai samait liya...din mahino mai,mahine saalo mai--waqt gujarta gaya.reena ne apni maa ki dekh rekh mai neetu ko chor kar ak noukri shuru kar lee.yaha kismat ne us ka sath diya aur who jaladhi ak uchee pad par niyukat ho gaye.us ki kismat ne ab tak jitna dhoka dena tha,diya..par ab,,office mai ab boss ke roop mai satish,jo us ki manodisha janta tha....har kadam par us ke sath thabehad shaleenta aur sabhayta ke sath satish us se baat karta.pata nahi kab aur kaise dono mai pyar ho gaya.par yeh pyar ak jimmedari se jura pyar tha.ak baar phir satish us ke ghar ki chokhat par khara tha,,reena ka hah magne ke liye...maa hairaan thi aur pita satambh...aur reena khud apni kismat par bharosa nahi kar pa rahi hi...maa ne neetu ko apne paas rakhne ka bharosa diya.par es se pahle ki reena kuch kah pati,,satish ki awaz aaye----neetu ab meri beti hai.meri lado...reena ki ankho se ansu bahne lage.satish ki baho mai who khushi ke ansu baha rahi thi.ansuo ka sailaab bah raha tha....
        Ateet ke darwaje se reena nikal aaye.ab bhi cheraansu se tar batar tha.jaise who ak chalchitar dekh rahi ho....''mumma aaj ka din bahut khubsurat tha--mai apni interview mai safal rahi...papa is great----my papa is very great...satish ka bharpur pyar paa kar neeu behad khush the....aur reena subb kuch bhul kar zindgi ke sukhad rango mai jeewan jee rahi thi.......

दे कर रंग इन लबो को तेरे प्यार का.... .....

 दे कर रंग इन लबो को तेरे प्यार का,हम ने अपने लबो को सिल लिया...कुछ कहते नहीं अब इस ज़माने  से कि इन से कहने को अब बाकी रह क्या गया...नज़रे चु...