Meghna ka dil
aaj who sub soch soch kar pareshaan ho raha tha….who yeh soch rahi thi ki kash
wohi wqat dubara lout aaye..ak ak kar ke who sub kuch us ki ankho ke samne
Nazar aane laga….par agar aisa hota to sari duniya apna
ateet louta leti…
Meghna apne
pariwar ke sath bahut khush hi,yeh jane bina ki us ki wajah se us ka behad pyar
karne wale dada jee…aisa nahi tha ki pita ne us ko waqt nahi diya tha ya phir
us ki parwarish mai koi kami ki ho.maa ka khayal us ko rula gaya…jo hamesha
kaha karti the ki tune meri kadar nahi jani,shayad mere mar jane ke baad hi
jane ge.par meghna
To shayad en bato se bekhabar apni duniya mai mast the….ha
dada jee aksar paas bula kar jeewan ki asliyat samjhate..who jante the ki
meghna behad ziddi hai..us ko jab tak tohkar nahi lage ge,who jeewan ka sach
nahi jaan paye ge….school se nikal kar meghna jab college mai aaye,to jaise us
ko pankh lag gaye ho..naye naye saheliyo ke sath who jaise jeewan ko jee lena
chati ho…who umar ke us mor par the,jaha ak halki se bhul us ka jeewan tahas
nahas kar sakti thi..maa jab puchti ki parai teak chal rahi hai,to meghna ka ak
hi jawab hota ha ha bahut teak se chal rahi hai..
Waqt ne meghna
ke jeewan mai dustak di….us se ak saal senior anil ne us se dosti ka hath
baraya..meghna khubsurat the aur amir ghar se thi…kya aaj ke yug mai dosti ke
liye yeh hona jaruri hai ? shayad ha :: anil ke sath dosti meghna ke jeewan mai
ak galat mor raha.who ziddi thi,ha gusse wali the par umar ke us mor par
thi,jaha sahi galat ka ahsaas us ke liye karma mushkil tha.phir anil ne us se
dosti kar ke us se us ka pariwar dur kar diya.jis meghna ko apne mata pita dada
ke pyar par garur tha,whoi meghna un sub ko apna dushman maan rahi thi….maa ko
us ke badle hue bartaav se kuch kuch andaja ho gaya tha,par us ke liye yeh
andaja karma mushkil ho raha tha ki e ski kya wajah hogi….
Who apni beti ko janti thi ki agar jayda jor de kar puche ge
to baat bigar sakti hai..so who
Sahi waqt ke intejar mai thi..par yeh intejar kaisa raha…..
Meghna pea
nil ka jadu sar char kar bolne laga.parne se us ka man hatne laga.anil us ko
apne sath club le jane laga.night parties mai jana un dono ka janun ho gaya.ya ak aisa nasha jo
meghna janti the ki papa maa ko khabar hogi to who sah nap aye ge.aur dada jee
…… aage who soch bhi nahi pai.anil se us ne who sub kah dala,jo us ke man mai
tha.par kyu ki anil sahi insaan nahi tha,es liye us ne phir meghna ko apne pyar
ka waasta dete hui meghna ka brain wash kar diya.meghna phir se us ki bato mai
aa gaye.
Us raat jab who raat teen baje ghar pahuchi to sub jage
the.who dar gaye,kyu ki galat the.
Papa ne behad gusse mai hote hui bhi us ko apne paas
bulaya,aur pucha ki kaha se aa rahi ho ?? meghna ke paas koi jawab nahi tha…
par papa ke paas tha..unho ne sub pata karwa liya tha….anil ak galat ladka
tha,jo un ki beti ko na pyar karta tha,sirf us ki doulat pe us ki nazar thi,who
janta tha ki meghna ko ghar mai sub behad pyar karte hai,es liye who apni
meethi meethi bato se us ka itna accha bewkuf bana raha tha ki meghna ko apna
sara pariwar apna dushman nazar aa raha tha…….papa ne us ko anil ke bare mai
sub kuch bataya.par meghna ke dil dimag par anil ka saya es kadar hawi tha ki
who kuch sochne samjahne ki halat mai
nahi the..us ne ak dum se kah diya ki who anil se shadi karma chati hai…..maa
ne behad gusse mai meghna pe hath udha diya….par dada jee ne baat sambhal
lee.kaha teek hai.. kya kah rahe hai aap ????? mata pita hairani se un ko dekh
rahe the..dada jee ne isharo mai un dono ko kuch samjahaya….pita maa jante the
ki dada jee ne
sub soch kar hi yeh kaha hoga…..
ge.aur phir apne bete bahu se bhi so jane ko
kaha..dada jee ke man mai kya chal raha hai
yeh who dono jaan
nahi paye….dada jee to ak naye subah ki intejaar mai the…who subah jo un ke
poti ke jeewan k oak naya sach dikhaye gee.who puri tarah ws sach ka pata laga
chuke the ki anil sirf un ki meghna se hi nahi,es ke elawa kitni hi larkiyo ko
barbad kar chuka tha.who kab kaha kis ke sath jata aata hai.kaha rahta hai.kis
ka beta hai…..agli subah meghna ke sath pure pariwar ne nashta kiya….dada jee
to bahut khush nazar aa rahe the.pa mata pita kuch samajah nahi pa rahe the.par
dada jee jo kar rahe hai,who galat ho hi nahi sakta…………… darwaje ki ghanti baji
..dada jee khud udh kar gaye.loute to sath mai anil aur us ke mata pita ke
sath..meghna ka chera khushi se khil gaya ..tabhi
dada jee ne anil ko apna sara sach batane ko kaha..us ko to yaha yeh kah kar
bulaya gaya tha
who meghna se us ki shadi ki baat karna chate hai….par anil ke mata pita se sub
khol chuke the.who apne bete ki harkato se wakif the..phir to subb ke samne
anil ka sach bataya gaya ,jo
khud us ke mata pita aur dada jee ne khola.anil ne to socha bhi nahi tha ki yeh
sub ho jaye ga.
Meghna ka dil ro
udha,anil ke liye us ka pyar gahri nafrat mai badal gaya.us ne sub ke samne
apne dada jee,mata pita se mafi magi ……aur man mai yeh faisla liya ki who yeh
sub bhula kar apne pariwar ka maan samaan wapis loutai ge…..dada jee meghna ki
ankho se bathe aasuo se sub samajah gaye the……aur aaj phir pura pariwar meghna
par pyar barsa raha tha…..jis ko who nam ankho se ie rahi the…….